|
Mast
Sher aur Shayari
Dil Se Kabhi Mujhe:
Dil se kabhi mujhe yaad kiya karo,
Itna gair na samjho call nahi toa atleast
Miss call toa kar liya karo - by Ashana Singh Submitted by: purushotam
purushotammusale<@>gmail.com
Aaj Dulhan Ke Laal Jode
Mein,
Use Uski Saheliyon Ne
Sajaya Hoga…
Meri Jaan Ke Gore Haathon Per
Sakhiyon Ne Mehndi Ko Lagaya Hoga…
Bahut Gehra Chadega Mehndi Ka Rang,
Us Mehndi Mein Usne Mera Naam Chupaya Hoga…
Reh Reh Ker Ro Padegi
Jab Jab Usko Khayal Mera Aaya Hoga…
Khud Ko Dekhgi Jab Aaine Mein,
To Aks Usko Mera Bhi Nazar Aaya Hoga…
Lag Rahi Hogi Balaa Si Sunder Woh,
Aaj Dekh Ker Usko Chaand Bhi Sharmaya Hoga…
Aaj Meri Jaan Ne
Apne Maa Baap Ki Izzat Ko Bachaya Hoga…
Usne Beti Hone Ka
Doston Aaj Har Farz Nibhaya Hoga…
Majboor Hogi Woh Sabse Jyada,
Sochta Hoon Kis Tarah Usne Khud Ko Samjhaya Hoga…
Apne Haathon Se Usne
Hamare Prem Ke Khaton Ko Jalaya Hoga…
Khud Ko Majboot Bana Ker Usne
Apne Dil Se Meri Yaadon Ko Mitaya Hoga…
Toot Jaayegi Tasveer Meri,
Jab Uski Maa Ne Tasveer Ko Table Se Hataya Hoga…
Ho Jaayenge Laal Mehndi Waale Haath,
Jab Un Kaanch Ke Tukdon Ko Usne Uthaya Hoga…
Bhooki Hogi Woh Jaanta Hoon Mein,
Kuch Na Us Pagli Ne Mere Bageir Khaya Hoga…
Kaise Sambhala Hoga Khudko
Jab Use Fairon Ke Liye Bulaya Hoga…
Kaampta Hoga Jism Uska,
Haule Se Pandit Ne Haath Uska Kissi Or Ko Pakdaya Hoga…
Mein To Majboor Hoon Pata Hai Use,
Aaj Khud Ko Bhi Bebas Sa Usne Paaya Hoga…
Ro Ro Ke Bura Haal Ho Jaayega Uska,
Jab Waqt Uski Vidayi Ka Aaya Hoga…
Bade Pyaar Se Meri Jaan Ko
Maa Baap Ne Doli Mein Bithaya Hoga…
Ro Padegi Aatma Bhi
Dil Bhi Cheekha Or Chilaya Hoga…
Aaj Apne Maa Baap Ke Liye
Usne Gala Apni Khushiyon Ka Dabaya Hoga…
Reh Na Paayegi Juda Hoker Mujhse
Darr Hai Ki Zehar Chupke Se Usne Khaya Hoga…
Doli Mein Baithi Ik Zinda Laash Ko
Char Kandho Per Kaharon Ne Uthaya Hoga… Submitted By: stolen heart
stolen_hearts007<@>yahoo.com
दोस्ती को बड़े प्यार से निभाएंगे , कोशिश रहेगी तुझे न सतायेंगे कभी पसंद न आये मेरा साथ तो बता देना , गिन भी न पाओगे इतने "थप्पड़" लगाएंगे
... !!! Kaiya Baat Kahon Un Ankhoon Ke, Jin Ankhoon
Pey Main Marti Hoon
Woh Ankhain Jheel Se Ankhain Hain, Jin
Main Doob Key Rooz Ubharti Hoon
Mujhey Dekhney Key Liye Uthte Hain, Miltey
Hi Nazar Woh Jhukte Hain
Sarey Jahan Main Aise Ankhain Nahi, Jin
Ankhoon Pey Main Marti Hoon
In Ankhoon Main Koi Ansoo Na Aye Koi,
Kabhi Koi Gham Na Pass Aye Koi
Sada Muskurate Rahain Yeh Ankhain, Har Dam
Yeh DUA Main Karti Hoon
Kiya Baat Hai Un Ankhoon Ke, Jin Ankhoon
Pey Main Marti Hoon
Anwarshama shama anwarshama1234(@)gmail.com
Na jane kyu ho raha hai
is Dil ko,
Shaayad fir koi yaad aa raha hai is Dil ko,
Nahi Chahati main fir kuch likhna or sochna,
Par uski yaad hai jo chali aa rahi hai,
Kya ye sach hai ya mera Vaham,
Ki mera Dil jodne wala hi Dil todde ja raha hai mera,
Kyun nahi kahti hu main use sabke samne,
Par akele me wo sabse karib lagta hai mere Dil ke,
Janti hu main kabhi paa nahi sakti usefir bhi,
Kya hoga agar mil jaaye wo mujhe kal ko,
Itna chahata raha jise ye Dil-O-Jaan se,
Par koi to samjhe is khambhakt dil ko,
Na jaane aaj fir kya ho raha hai……………
Ye mujhse behtar is Dil me rehne wala hi jaanta hai………
Shahin Parveen yshama.786(@)gmail.com
Tute hue paimane mein kabhi jaam nahin aata, ishq ke mariz ko kabhi
aaraam nahin aata, ae dil todne wale itna to socha hota, ki toota hua dil kisi
kaam nahin aata. Mere marne ke baad mujhe jalane se pahle mere dil ko nikal lena,
kahin wo bhi na jal jaaye jo is dil mein samayi rahti hai.
Submitted by -
Sandeep Kaushik
Yaad na karoge to
satayenge, ruthoge to manayenge, royoge to hasayenge,
dost hai hum saya nehi, jo andhere mein saath chor jayenge.
Dua karte hain sar zukaye
Dost apni har manzil ko paye
Agar teri raho main kahi andhera aye
to khuda roshani ke liye hame jalaye
Dosti Karna hume
bhi Sikhado zara, Us Dil k Kone me humko b bithado zara, Hum tumhare dil me hai
ki nahi, Zuban se na sahi SMS se to bata do jara....
Pyar main kisi ko
aajmaya na karo, Dil ki baat kisi ko bataya na karo,
Log muthiyon main namak liye phirte hain, Jakham har kisi ko dikhaya na karo.
Aaj socha ki jawab
kya bhejun? Aap jaise dost ko khitab kya bhejun?
Koi phool hota to alag baat hoti, Jo khud Guldasta hai huse Gulab kya
bhejun.
4. Pehali Nazar mili to, bas tham gayi tithak kar,
Dil ne kahaa ki padh le, yeh hai tera muqaddar.’
5. Mujh se achhe to hain teri rah ke pathhar sanam,
Roz dikhati ho jinhe aate huye jaate huye
6. Yeh teri bhi aankhon ka kusoor hai
Mai tanha gunahgar to nahi.
7.
Mujhe bhulna bhi
chaho to bhula na sako ge ;
Main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon ki tarah.
8. Mast nazron se dekh lena tha,
Agar tamanna thi aazmane ki;
Hum to behush youn hi ho jaate,
Kya zaroorat thi muskurane ki.
9. Jee karta hai ki teri nili nili aankhon main dub jaoon,
Jee karta hai ki teree nili nili aankhon main dub jaoon;
Splash, Glug Glug, Splashhh!
10. This is the
Very special one.....
Before Marriage:
takdir hai magar kismat nahi khulti
tajmahal banana chahata hoon
lekin mumtaz nahi milti
After
Marriage:
takdir hai magar kismat nahi khulti
tajmahal banana chahata hoon
lekin mumtaz nahi marti.
11. Bewafa sanam se
to cigrattee achi hai,
Bewafa sanam se to cigrattee achi hai,
Dil jalati hai, par hoto se to lagti hai
12. Bhool Se Agar
Koi Bhool Hui, To Bhool Samajke Use Bhool Jana,
Arey Bhoolna Sirf Bhool Ko, Bhoolkar Bhi Hume Na
Bhool Jana.
13. Guzare Huye Kal Ki Yaad Aati Hai, Kuch Lamho Se Aakhen Bhar Aati Hai,
Woh Rangeen Shaam Nirali Doob Jati Hai; Jab Aap
Jaise Dost Ki Yaad Aati Hai.......
14. kadam kadam pe hawaon se talukh rakhna, dosti ke daur pe dosti ka aasra
rakhna,
hamari yaadon ki khushboo jarur aayegi, aap bas
apne dil ka darwaja khula rakhna.
15. Ik Din Baharon
Ke Phool Murjha Jayenge, Jab Bhoole Se Kabhi Hum Yaad Aayenge,
Ehsaas Hoga Tumhe Hamari Dosti Ka, Jab Door Bahut
Door Hum Tumse Chale Jayenge.
16. Mat Dekh Koi
Shakhs Gunehgaar Hain Kitna
Yeh Dekh Tere Saath Wafadar Hain Kitna
17. Shikwa Karte Hain Zubaan Se Na Gila Karte Hain
Tum Salamat Raho Bas Yehi Dua Karte Hain
18. Zara Si Roshni Milti Chiragh-e-Dil Jala Lete
Nazar Ki Pyaas Bujh Jaati Ghari Bhar Muskura Lete
19. Judai Ka Pata Hota Tere Pyaar Se Pehle
Marne Ki Dua Karte Tere Deedar Se Pehle
20. Mohabbat Main Dil-e-Nadaan Sukoon Paya Nahin Karte
Jazbe Jin Ke Sadiq Houn Wo Ghabraya Nahin Karte
21. Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahaan Nahin Milta
Kahi Zameen To Kahi AasmaaN Nahin Milta
22. Wo Kehte The Rone Se Nahin Badalte Naseeb
Un Ki Is Baat Ne Umar Bhar Rone Na Diya
23. TamaaM Raat Mere Ghar Ka Ek Dar Khulla Raha
Ham Rah Dekhte Rahe Wo Raasta Badal Gaya
24. Jis Ney Zindagi
Ko Udhaas Kar Diya Wo Bewafa Hain To Kya, Mat Kaho Bura Us Ko Ke Jo Huwa So Huwa Khush Rakhe Khuda Us Ko
If you want to get more
Shers on your email or
submit Shers to us and win attractive prizes mail us at: eolindia<@>yahoo.co.in
|